Monday, 4 January 2010

A poem sent by a highly intelligent and sensitive young girl

Aajkal chand meri gali se hokar gujarta hai,

Dekhta hai uski tarah koi aur v tanha bhatakta hai.

Wo aata hai , meri khidaki se jhakta hai,

Ek lambi se aah bharta hai,

Aur muskurakar kahta hai

“ chalo achha hai,

Tum v jage ho meri he tarah.

In lambi raaton mei

Mai akela nahi, koi to hai mere saath!

Jo deta hai mujhe mere duje pan ka ehsaas.”

Mai muskura kar kahti hoon chand se

“mai itani beraham nahi chand,

Jo tumhe uun bhatakane dun akele anjaan.

Chalo chand kyon na rache aaj se hum ek naya bidhan,

Hum dono ki samasyao ka milkar kare samadhan!”

Chand phir se muskurakar kahta hai

“ mai jagta hoon isliye ki mujhe janana hai ek raaj

Kahan chali jati hai meri chandani har purnima k baad?

Par ye batao tum kyon jagti ho har raat

Ek prachand bedana k saath?”

Mere hoton par hoti hai ek ajib si muskurahat,

Mai kahti hoon chand se” jara suno meri baat-

Mai jagti hoon isliye ki mujhe v janana hai ek raaj,

Kaise sota hai wo chain se,

Dekar mujhe bechaini din raat!”

(2)



AAj phir bade udas ho chand?

Thak kar aa gaye wapas phir se meri khidaki par

dene dastak aaj.

Kya maine nahi kaha tha tumhe!

Dhundane jaaoge agar chandani ko tum is jahan mei

To kabhi nahi milegi wah tumhe!

Kya kahoon tumhe mai chand

Apne he prem ko chale ho kahin aur dhundane!

Maine tab v kaha tha tumhe

Thak kar ho jaaoge chur

Par nahi milegi chandani kahi aur tumhe!

Kaas ki ye baat tum samajh paate

Ki chandani tumse hai

Aur wah tumme hai jo de rahi tumhe roshani

Tumhari udasi mei v aaj!

Ek baar dil se use pukar to lo

Phir dekho har roz kaise purnima aayegi

Aur charo or hogi roshani ki barsat!”

2 comments:

  1. I do not know how fair this is to put this in my blog. But, I felt that some friends might appreciate it.

    ReplyDelete
  2. कवियित्री का नाम दो, कविता अच्छी है।

    ReplyDelete